aae ham ‘ghalib’-o-‘iqbal’ ke naghmat ke baad
‘mushaf’-e-ishq-o-junun husn ki ayat ke baad
ai vatan khak-e-vatan vo bhi tujhe de denge
bach gaya hai jo lahu ab ke fasadat ke baad
nar-e-namrud yahi aur yahi gulzar-e-khalil
koi atish nahin atish-kada-e-zat ke baad
ram-o-gautam ki zamin hurmat-e-insan ki amiin
banjh ho jaegi kya khuun ki barsat ke baad
tishnagi hai ki bujhae nahin bujhti ‘sardar’
badh gai kausar-o-tasnim ki saughat ke baad
Leave a Reply