yaqin ko sinchna hai ḳhvabon ko palna hai
bacha hai thoḌa sa jo asasa sambhalna hai
saval ye hai chhuḌa len mas.alon se daman
ki in men rah kar hi koi rasta nikalna hai
jahan-e-saudagari men dil ka vakil ban kar
is ahd ki munsifi ko hairat men Dalna hai
jo mujh men baiTha uḌata rahta hai niind meri
mujhe ab us aadmi ko bahar nikalna hai
zamin zaḳhmon pe tere marham bhi ham rakhenge
abhi gaḌi suiyon ko tan se nikalna hai
kisi ko maidan men utarna hai jitna hai
kisi ko ta-umr sirf sikka uchhalna hai
ye naav kaghaz ki jis ne naddi to paar kar li
kuchh aur sikhe ab is ko dariya men Dalna hai
Leave a Reply