gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
niind ka halka gulabi sa khumar ankhon men tha
yuun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin
har taraf divar-o-dar aur un men ankhon ke hujum
kah sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahin
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katta huun zindagi bhar main ne jo boya nahin
janta huun ek aise shakhs ko main bhi ‘munir’
gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin