niyaz-e-ishq se naz-e-butan tak baat ja pahunchi
zamin ka tazkira tha asman tak baat ja pahunchi
mohabbat men kahin ik raz-dan tak baat ja pahunchi
bas ab kya tha zamane ki zaban tak baat ja pahunchi
zamana taaḌ lega main na kahta tha ye ab samjhe
mujhe divana kahne se kahan tak baat ja pahunchi
nizam-e-maikada par tabsire aur hosh valon men
yahin se azmat-e-pir-e-mughan tak baat ja pahunchi
suna ye tha ki chashmak bijliyon ko hai baharon se
hua ye hai ki mere ashiyan tak baat ja pahunchi
rah-e-manzil men ai rah rah ke himmat harne vaale
ḳhabar bhi hai ki mir-e-karvan tak baat ja pahunchi
Leave a Reply