zindagi is liye shayad hai pasheman ai ‘hosh’
ki faqat maut hai sarmaya-e-insan ai ‘hosh’
ḳhushk honTon pe bhi rakhte hain tabassum ki chamak
kaun kahta hai hamen be-sar-o-saman ai ‘hosh’
vaqt ki aanch sikha deti hai jismon ka lahu
dil men rahte hain magar ḳhuun ke tufan ai ‘hosh’
un ke sinon men dahakte hue angare hain
tum ne dekhe hain jo hanste hue insan ai ‘hosh’
Leave a Reply