andhera sa kya tha ubalta hua
ki phir din dhale hi tamasha hua
yahin gum hua tha kai baar main
ye rasta hai sab mera dekha hua
na dekho tum is naaz se aina
ki rah jaae vo munh hi takta hua
na jaane pas-e-karvan kaun tha
gaya duur tak main bhi rota hua
kabhi aur kashti nikalenge ham
abhi apna dariya hai thahra hua
jahan jaao sar par yahi asman
ye zalim kahan tak hai phaila hua
Leave a Reply