• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaho To Nam Main de dun Ise Mohabbat Ka

Kaho To Nam Main de dun Ise Mohabbat Ka

fatima-hasan

kaho to naam main de duun ise mohabbat ka

jo ik alaav hai jalti hui rifaqat ka

jise bhi dekho chala ja raha hai tezi se

agarche kaam yahan kuchh nahin hai ujlat ka

dikhai deta hai jo kuchh kahin vo khvab na ho

jo sun rahi huun vo dhoka na ho samaat ka

yaqin karne lage log rut badalti hai

magar ye sach bhi karishma na ho khitabat ka

sanvarti rahi ghar ko magar ye bhuul gai

ki mukhtasar hai ye arsa yahan sukunat ka

chalo ki is men bhi ik-adh kaam kar dalen

jo mil gaya hai ye lamha zara si mohlat ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bashir-badr

Ab Kise Chahen Kise dhunda Karen

poet

Pak Hai Lazzat-E-Ishrat Se Zaban-E-Waiz

Zawal-E-Husn Ko Husn-E-Nigar Kya Jaane

Hum Sakun Paenge Salmaon Mein Kya

indira-varma

Shikasta-dil Andheri Shab Akela Rahbar Kyun Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet