• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Parinde lauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain

Parinde lauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain

parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain

hamen bhi yaad dar-o-bam aane lagte hain

fasil-e-sarhad-e-mazi dhaḌakne lagti hai

jo ḳhvab niind ka dar khaTkhaTane lagte hain

hubab dhuup ki barish men phuTte bante

sabat-e-zat ka matlab batane lagte hain

sar-e-mahaz tire aate hi harif mire

ye mere haath mujhe azmane lagte hain

tire ḳhayal ki mahfil jo sajne lagti hai

qarib-e-hal guzishta zamane lagte hain

jo asman ko zid hai to kam nahin ham bhi

ki bad-e-barq na.e ghar banane lagte hain

jo sunte hain ki tire shahr men dashra hai

ham apne ghar men divali sajane lagte hain

suni-suna.i si har ik kahani lagti hai

na.e hain lafz ma.ani purane lagte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHayal-E-Yar Ka Raushan Jo Hai Diya Na Bujha

poet

Kun Ke Kahne Mein Jo Hua so Hua

poet

Qasid Tere Bar Bar Aae

poet

KHalish-E-zaKHm-E-Tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha

Aae Kya Kya Yaad Nazar Jab paDti in Dalanon Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet