yaqin ki had men huun ya varta-e-guman men huun
mujhe ḳhabar hai ki main huun par imtihan men huun
vo par sameT ke ḳhush hai ki pa gaya mujh ko
main zaḳhm kha ke huun nazan ki asman men huun
koi to tha ki jo patthar bana gaya chhu kar
mujhe batao main kis shaḳhs ki amaan men huun
hava ki aankh se guzrun to ma.arka Thahre
misal-e-tir abhi halqa-e-kaman men huun
huun muntazir kisi lams-nigah ka kab se
main ik kitab ki surat kisi dukan men huun
badan hai barf magar jal raha huun lakḌi sa
main apne ghar men huun ya ghair ke makan men huun
na kar talash ki sahil nahin mira maskan
main har ghaḌi tiri kashti ke badban men huun
Leave a Reply