mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha
main us se mil ke na tha ḳhush juda bhi hona tha
chalo ki jazba-e-iz.har chiḳh men to Dhala
kisi tarah ise aḳhir ada bhi hona tha
bana rahi thi ajab chhitr Dubti hui shaam
lahu kahin kahin shamil mira bhi hona tha
ajab safar tha ki ham raston se kaTte ga.e
phir is ke ba.ad hamen lapata bhi hona tha
main tere paas chala aaya le ke shikve-gile
kahan ḳhabar thi koi faisla bhi hona tha
ghubar ban ke uḌe tez-rau ki un ke liye
to kya zarur koi rasta bhi hona tha
sara.e par tha dhuan jam.a saari basti ka
kuchh is tarah ki koi saneha bhi hona tha
mujhe zara sa guman bhi na tha akela huun
ki dushmanon ka kahin samna bhi hona tha
Leave a Reply