yaqin kaise karunga guman men rahta huun
charagh huun kisi andhe makan men rahta huun
chahar samt ujala hai mere hone se
main har taraf huun magar darmiyan men rahta huun
mujhe talash karo mujh se guftugu kar lo
men apne harf men apne bayan men rahta huun
haqir sa mira kirdar hai kahani men
misal-e-gard kahin karvan men rahta huun
sada bhi apni hi aati hai mere kanon men
jahan bhi rahta huun apne guman men rahta huun
na sub.h koi yahan aur na shaam hai apni
kisi se kaise kahunga kahan main rahta huun
na bam-o-dar hain na divar hai koi jis ki
main aj-kal kisi aise makan men rahta huun
mujhe bhi yaad karega kabhi koi ‘hamdam’
kahin to main bhi kisi dastan men rahta huun
Leave a Reply