dil men mere har ghaḌi dariya-e-gham labrez hai
baat jo munh se nikalti hai vo dard-amez hai
zabt karta huun to baḌhta hai mira soz-e-darun
ashk se bhi apne Darta huun ki tufan-ḳhez hai
pahle in ankhon se sail-e-ashk hota tha ravan
ab vufur-e-gham se meri chashm-e-tar ḳhun-rez hai
aarzu tak ho ga.i dil ke liye bar-e-garan
na-tavani ke sabab arman bhi hasrat-ḳhez hai
hai abas saman-e-farhat gham-zada dil ke liye
mere lab ko ḳhud tabassum se baḌa parhez hai
din ga.e tafrih ke jab se hua dil gham-kada
kya gharaz ham ko agar duniya tarab-angez hai
is zamin par kar raha hai tai masafat har-nafas
vo mubarak hai qadam jis ka safar men tez hai
qalb-e-‘hafiz’ ta-dam-e-aḳhir na pa.ega sukun
jumla-saman-e-tarab-angez vahshat-ḳhez hai
Leave a Reply