yaqin-e-sub.h-e-chaman hai kitna shu.ur-e-abr-e-bahar kya hai
saval karte hain dasht-o-dariya ki qafile ka vaqar kya hai
jo chal paḌe jada-e-vafa par unhen gham-e-rozgar kya hai
sa.ubaton ke pahaḌ kya hain tamazaton ka ghubar kya hai
yahin pe manzil karenge raahi yahin pe sab qafile rukenge
Thahar zara shauq-e-sabr dushman ye dard be-iḳhtiyar kya hai
nasib-e-farda pe shadman hain junun ke maron se koi puchhe
ye kyuun gireban hai TukḌe TukḌe ye daman-e-tar taar kya hai
na un ka jaada na koi manzil na nur-o-zulmat ka farq janen
unhen ḳhabar kya ki hai sahar kya andheri shab ka ḳhumar kya hai
Leave a Reply