• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz

Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz

poet

aisi koyal na papihe ki hai pyari avaz

kya bhali lagti hai kanon ko tumhari avaz

jab mujhe tum ne pukara ye dua di main ne

rahe makke men madine men tumhari avaz

aap ke bol sunae vo hamen kya qudrat

aisi paida to kare koi sitari avaz

sun ke bismil hue ham naghma-sarai un ki

nahin maalum chhuri hai ki katari avaz

be-sure samne us ke rahe tambur-o-sitar

la ke taron ke juari ne sanvari avaz

is tarah roiye aansu faqat ankhon se bahen

munh se nikle na dam-e-girya-o-zari avaz

chutkiyon men na uda mujh ko mughanni batla

saaz ke parde men kis ki hai ye pyari avaz

aise naale kiye ham ne ki gala baith gaya

aai aafat vo gale par ki sidhari avaz

naach gaane men vo aalam hai jo dekhe vo kahe

sar-basar tum ho pari shoala hai saari avaz

‘bahr’ roe ho zarur aaj kisi ke liye tum

surkh surkh ankhen bhi hain aur hai bhari avaz

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHayal-E-Jaanan Utar Raha Hai Dil-E-Hazin Par

sheikh-ibrahim-zauq

Gain Yaron Se Wo Agli Mulaqaton Ki Sab Rasmein

Aah Ko Samjhe Ho Kya Dil Se Agar Ho Jaegi

abu-mohammad-sahar

Ishq Ki Sai-e-Bad-Anjam Se dar Bhi Na Sake

Ki KHud-Numai Na Tashhir Chahte Hain Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet