Yahi Bahut Hai Ki Ahbab Puchh Lete Hain

yahī bahut hai ki ahbāb pūchh lete haiñ

mare ujaḌne ke asbāb pūchh lete haiñ

maiñ pūchh letā huuñ yāroñ se rat-jagoñ kā sabab

magar vo mujh se mire ḳhvāb pūchh lete haiñ

isī galī se jahāñ āftāb ubhrā hai

kahāñ gayā hai vo mahtāb, pūchh lete haiñ

ab aa ga.e haiñ to is dasht ke faqīroñ se

rumūz-e-mimbar-o-mehrāb pūchh lete haiñ

kisī ko jā ke batāte haiñ hāl-e-dil ‘nāsik’

kisī se hijr ke ādāb pūchh lete haiñ

Leave a Comment