har saans hai ik naghma har naghma hai mastana
kis darja dukhe dil ka rangin hai afsana
jo kuchh tha na kahne ka sab kah gaya divana
samho to mukammal hai ab ishq ka afsana
do zindagiyon ka hai chhoTa sa ye afsana
lahraya jahan sho.ala andha hua parvana
in ras bhari a.ankhon se masti jo Tapakti hai
hoti hai nazar saaqi dil banta hai paimana
virane men divana ghar chhoḌ ke aaya tha
jab hoga na divana ghar DhunDhega virana
afsana gham-e-dil ka sunne ke nahin qabil
kah dete hain sab hans kar divana hai divana
jab ishq ke maron ka pursan hi nahin koi
phir donon barabar hain basti ho ki virana
ye aag mohabbat ki paani se nahin bujhti
phir sham.a se ja lipTa jalta hua parvana
Leave a Reply