
Aziz Warsi
yahan se ab kahin le chal ḳhayal-e-yar mujhe
chaman men raas na aa.egi ye bahar mujhe
tiri latif nigahon ki ḳhaas jumbish ne
bana diya tiri fitrat ka razdar mujhe
miri hayat ka anjam aur kuchh hota
jo aap kahte kabhi apna jan-nisar mujhe
badal diya hai nigahon se ruḳh zamane ka
kabhi raha hai zamane pe iḳhtiyar mujhe
main jab chala huun ba-in zauq-e-bandagi ai dost
qadam qadam pe mile astan hazar mujhe
ye hadsat jo hain iztirab ka paigham
ye hadsat hi a.enge sazgar mujhe
‘aziz’ ahl-e-chaman ki shikayaten be-sud
fareb de ga.i rangini-e-bahar mujhe

Leave a Reply