
Ismail Merathi
yaad teri yaad hai nam-e-khuda
varna ham kya aur hamari yaad kya
sadr-ara to jahan ho sadr hai
agara kya aur allahabad kya
mabda-e-fayyaz ke shagird ko
hajat-e-amozish ustad kya
ik kasauti hai tire kirdar ki
martaba kya maal kya aulad kya

Leave a Reply