puchhte hain tujh ko saffaki kahan rah kar mili
ye karamat bheḌiyon ke darmiyan rah kar mili
hadson ki zad men rahte hain zamin-o-asman
kaun si achchhi ḳhabar mujh ko yahan rah kar mili
har-nafas mujh ko aziyyat ka safar karna paḌa
zindagi mujh se hamesha bad-guman rah kar mili
ik tilavat ne miri sanson ko baḳhsha hai davam
zindagi mujh ko sar-e-nok-e-sinan rah kar mili
ya.ani tere sab sitam mujh par karam sabit hue
ya.ani teri har bala hi mehrban rah kar mili
zahr ik miqdar men us ne diya hai is liye
taqviyat mujh ko hamesha nim-jan rah kar mili
main usi ka markazi kirdar huun kya ilm tha
vo kahani jo darun-e-dastan rah kar mili
jo bhi kahte ho utar jaata hai mere dil men ‘zeb’
aisi laffazi batao to kahan rah kar mali
Leave a Reply