yaad kya dast-e-hunar hai ki sanvarta gaya main
us ko socha to use yaad hi karta gaya main
is ko tahzib-e-junun kahiye ki mujh se pahle
jaise bikhre hain sabhi log bikharta gaya main
naqsh kitne the ki ma.adum hue silsila-var
aur har naqsh ke pahle se ubharta gaya main
ek tasvir bana.i thi mukammal na hui
ek hi rang lahu rang tha bharta gaya main
harf-e-iqrar hi kahta raha be-ḳhaufi se
ya.ani inkar ke ashob se Darta gaya main
daman-e-vaqt se sau harf-e-sata.ish bhi chune
aur ilzam sabhi vaqt pe dharta gaya main
apne andar ke talatum ne rakha hai abad
ḳhud hi iqrar kiya ḳhud hi mukarta gaya main
mujh men har lamha fuzun-tar hua andoh-e-jamal
aur tasvir ke manind sanvarta gaya main
har nafas baḌhta gaya us ki tamanna ka ḳharosh
lamha lamha isi vahshat men nikharta gaya main
zindagi ku-e-malamat hai koi kya Thahre
apni hi vaz.a ka main huun so Thaharta gaya main
Leave a Reply