goyā ki chhinī pairoñ ke nīche kī zamīñ hai
kyā paas tire jhūTī tasallī bhī nahīñ hai
ham ne to use kar hī diyā dil se bahut duur
par us kā ḳhayāl us kī mohabbat to yahīñ hai
ma.alūm hai yārab hai tū shah-e-rag se qarīñ-tar
vo shaḳhs magar jo mirī dhaḌkan ke qarīñ hai
haiñ aap hī kyuuñ hālat-e-afsos kī jā par
kyā hogī ‘an.am’ aap kī jab apnī nahīñ hai