yaad ke darichon men barishon ke manzar hain
kis nagar ki baten hain kin ruton ke manzar hain
ajnabi dayaron men shauq-e-did le jaao
kuchh nahin to har janib dilbaron ke manzar hain
umr ho ga.i lekin ab bhi hain ta.aqub men
us gali se aage bhi titliyon ke manzar hain
dil ki nam zaminon par chal rahe hain ham kab se
duur zard peḌon par andhiyon ke manzar hain
main huun aur samundar hai pesh-e-sa.id-e-simin
dar-pas-e-ruḳh-e-zarrin parbaton ke manzar hain
husn-e-kam-qaba dariya aur hua barahna-pa
naqsh aaj bhi dil par jangalon ke manzar hain
kya har ek janib se chal ke ḳhud tak aaya huun
mere char-su ‘jamshed’ raston ke manzar hain
Leave a Reply