
Shiv Om Misra Anvar
ada-e-husn se bahar nikal bhi sakta tha
vo dekh kar mire aansu pighal bhi sakta tha
shajar ne chhanv barabar rakhi mire uupar
vagarna dhuup ka suraj nigal bhi sakta tha
uTha.e phirta main kab tak tasavvurat ka bojh
tira ḳhayal mere hosh chhal bhi sakta tha
use jahan ke rangon ne kha liya varna
main us ke vaste duniya badal bhi sakta tha
tanaben rishton ki TuTengi ham ko tha ma.alum
magar ye marhala kuchh vaqt Tal bhi sakta tha
chura.e vaqt se main ne ka.i hasin lamhe
mujhe ye vaqt ka ajgar nigal bhi sakta tha
usi ke haath men tha mera faisla varna
mira harif gavahi badal bhi sakta tha
safar ka dard bhala koi kab talak jhele
safar hayat ka ahista chal bhi sakta tha
ulajh ke rah ga.i gutthi miri kahani ki
vo ek lamha jo kuchh der Tal bhi sakta tha
tilism TuuT na paaya guman ka varna
daraḳht dil men mohabbat ka phal bhi sakta tha
badal bhi sakta hai ghamgin sadao ka ahang
vo chahta to mira dil bahal bhi sakta tha

Leave a Reply