
Ameer Raza Mazhari
sunen bahar ki rangin-bayaniyan kya kya
kahin tabassum-e-gul ne kahaniyan kya kya
daya javab na kuchh muskura ke rah ga.e phuul
zaban-e-ḳhar ne kiin bad-zabaniyan kya kya
baḌha na naqa-e-laila baghair nala-e-qais
hunar dikhati rahin sarbaniyan kya kya
mizaj-e-sang na pighla ki tha na soz-e-kalim
asa paTakti rahin qahar-maniyan kya kya
zaban-e-aql pe kuchh hai zaban-e-ishq pe kuchh
tire sukut se niklin kahaniyan kya kya
na deta husn agar dil ko ishq ka sho.ala
ḳhud apni aag men jaltin javaniyan kya kya
mizaj-e-ishq ne pakḌa na e’tibar ka rang
sharik-e-vahm rahin ḳhush-gumaniyan kya kya
jaras bhi chup raha TuuTi na karvan ki bhi niind
sukut-e-dasht ne kiin nauha-ḳhvaniyan kya kya
pukarti hai ‘raza’ gard-e-karvan lekin
bani hain bar-e-safar sargiraniyan kya kya

Leave a Reply