yaad karne se pahle bhulana paḌa
ye zahr tha magar azmana paḌa
jaan kar bhi ke hai tirgi bad buri
jaan kar bhi ise gudgudana paḌa
rahbar ke zehn ko samajhne hamen
rahzan ke mohalle men jaana paḌa
ab hansi aa rahi hai ki kis ke liye
haa.e kis ke liye maar khana paḌa
aap to sar Tika kar ke chalte bane
aur yuun hi raha phir ye shana paḌa
zindagi zindagi zindagi zindagi
is buri nazm ko gungunana paḌa
dozaḳhi men rئla.i to likkhi hi thi
par ghazab ye hua muskurana paḌa
Leave a Reply