yaad kar kar ke use vaqt guzara jaae
kis ko fursat hai vahan kaun dobara aa jaae
shak sa hota hai har ik pe ki kahin tu hi na ho
ab tire naam se kis kis ko pukara jaae
saira tujh ko bahut yaad hain us ki baten
kyuun na kuchh vaqt tire saath guzara jaae
jis tarah ped ko badhne nahin deti koi bel
kya zaruri hai mujhe gher ke maara jaae
ain mumkin hai ki ho us se ilaj-e-vahshat
shahr men zor se ik naam pukara jaae
us hasin shakhs ki khatir jo kaha hai ‘tabish’
kam hai is sher ko jitna bhi sanvara jaae
Leave a Reply