jahan ghar hoga dar hoga hamara
vahan se kab guzar hoga hamara
agar ham hain sitaron ke asar men
sitaron par asar hoga hamara
tumhen niind aa rahi hai shaam hi se
tamasha raat bhar hoga hamara
nikale ja.enge pahlu hazaron
fasana muḳhtasar hoga hamara
na kaTen raat kyun-kar us gali men
vahan ḳhvab-e-sahar hoga hamara
ye jo Darne laga hai ham se dushman
ḳhuda pesh-e-nazar hoga hamara
Leave a Reply