yaad hai pahle-pahal ki vo mulaqat ki baat
vo maze din ke na bhule hain na vo raat ki baat
kabhi masjid men jo vaa.iz ka bayan sunta huun
yaad aati hai mujhe pir-e-ḳharabat ki baat
yaad piiri men kahan ab vo javani ki tarang
sub.h hote hi hamen bhuul ga.i raat ki baat
shaiḳh ji majma-e-zindan men nasihat kaisi
kaun sunta hai yahan qibla-e-hajat ki baat
haa.e phir chheḌ diya zikr adu ka tum ne
phir nikali na vahi tark-e-mulaqat ki baat
jab liya ahd shab-e-vasl kaha is ne ‘hafiz’
sub.h ko yaad rahegi ye hamen raat ki baat
Leave a Reply