kisi bhi samt niklun mera pichha roz hota hai
ta.aqub men koi gumnam saaya roz hota hai
kisi ik moḌ par har roz mujh ko mil hi jaati hai
ta.aruf zindagi se gha.ebana roz hota hai
main ik anjan manzil ke safar par jab nikalta huun
tasavvur men koi manus chehra roz hota hai
yahi tanha.iyan hain jo mujhe tujh se milati hain
inhin ḳhamoshiyon se tera charcha roz hota hai
ye ik ehsas hai aisa kisi se kah nahin sakta
tiri maujudgi ka ghar men dhoka roz hota hai
shajar bechargi se dekhta hai is tamasha ko
juda shaḳhon se us ki koi patta roz hota hai
main apne-ap par bhi ḳhud ko zahir kar nahin sakta
mire ehsas par ik saḳht pahra roz hota hai
ye manzar dekh kar hairan rah jaati hain maujen bhi
yahan sahil pe ik TuuTa gharaunda roz hota hai
bahut din se in ankhon ko yahi samjha raha huun main
ye duniya hai yahan to ik tamasha roz hota hai
main ik kirdar ki surat ka.i parton men jiita huun
miri be-chehragi ka ek chehra roz hota hai
Leave a Reply