ab guman hai na yaqin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
asman kuchh bhi nahin aur zamin kuchh bhi nahin
miT gaya dil se aqidat ka bharam ya.ani ab
us ka dar kuchh bhi nahin apni jabin kuchh bhi nahin
kyon na yak-rangi-e-halat se ji ukta.e
ab koi bazm-e-tarab daur-e-hazin kuchh bhi nahin
ab to har husn-o-nazar rang-o-mahak saz-o-suḳhan
laakh achchhe hon magar ḳhud se hasin kuchh bhi nahin
jaane kis taur hai taqsim-e-karam allah ka
hai kahin kitna hi kuchh aur kahin kuchh bhi nahin
aas bandhti hai zara der use takne men
kaun kahta hai sar-e-arsh-e-barin kuchh bhi nahin
aa hi ja.enge tah-e-dam-e-ajal sab ik din
ho bhale taḳht-nashin ḳhak-nashin kuchh bhi nahin
kitna pur-shor tha anfas ka bahta dariya
kyon ye kahta hai dam-e-baz-pasin kuchh bhi nahin
miT gaya jism hui ruuh bhi ruḳhsat kab ki
ab yahan koi makan hai na makin kuchh bhi nahin
ḳhud se kis taur sahe shaḳhs vo duuri apni
hai ba-juz apne ‘amar’ jis ke qarin kuchh bhi nahin
Leave a Reply