yad-e-mazi ye kya kiya tu ne
hanste hanste rula diya tu ne
muskura kar mizaj kya puchha
dukhti rag ko daba diya tu ne
rang-o-bu men bhi dilkashi na rahi
rang aisa chaḌha diya tu ne
marhaba ai ḳhayal-e-zulf-e-butan
ujḌe ghar ko basa diya tu ne
sub.h-e-ummid shukriya tera
tirgi ko miTa diya tu ne
gham men aaya nazar nashat ka rang
ham ko jiina sikha diya tu ne
jis ‘nazar’ se mila tha pyaar kabhi
us ‘nazar’ se gira diya tu ne
Leave a Reply