mujh men aa kar thahar gaya koi
husn-e-dil men utar gaya koi
kaisi di ye mujhe kitab-e-ishq
padhte padhte bikhar gaya koi
aaj khushbu bhare gulabon se
mere daman ko bhar gaya koi
apna apna tha aaina sab ka
jaane kis men sanvar gaya koi
hal-e-dil us ne aaj kya puchha
jaise dariya thahar gaya koi
le ke kandhon pe apne phirti huun
mere andar hi mar gaya koi
raushni bhiik men nahin milti
apni jaan se guzar gaya koi
ab na hansti huun aur na roti huun
kaisa jaadu sa kar gaya koi
raakh kahti thi ‘shama’ ki ud kar
haae vaqt-e-sahar gaya koi
Leave a Reply