yad-e-khuda se aaya na iman kisi tarah
kafir bane na ham na musalman kisi tarah
karte ho vaada aane ka hai aankh muntazar
kab tak guzare din ye hai mehman kisi tarah
azad ishq-e-yar ne ham ko bana diya
mal-o-mata’ ka huun na main khvahan kisi tarah
piite raho sharab jahan tak ki ho sake
shaghil na chhute saaqi ka daman kisi tarah
aa javen gar nasib se aalam hai nazaa ka
nikle hamare dil ke bhi arman kisi tarah
mar jaun un ke tir-e-nigah se najat ho
gardan pe mere un ka ho ehsan kisi tarah
zindan hain phans gaya dil-e-muztar nigah ke
baithe hain pasban bane mizhgan kisi tarah
baad-e-fana bhi qabr ko mismar kar diya
izhar-e-ranj ka na ho saman kisi tarah
advar men agarche hai ‘markaz’ ghira hua
chhode na tujh ko rahmat subhan kisi tarah
Leave a Reply