yaad aata hai saman mujh ko ḳhud-ara.i ka
chandni raat men aalam tiri angḌa.i ka
aa.ina a.ina-ruyon ko ye deta hai sabaq
kuchh samajh buujh ke da.ava karo yakta.i ka
aur bhi josh baḌha ho ga.iin maujen be-tab
aks dariya men paḌa jab tiri angḌa.i ka
mere dil men miri ankhon men hain teri shaklen
zeb deta nahin da.ava tujhe yakta.i ka
dil hua zer-o-zabar aah bhi ham kar na sake
rah ga.e dekh ke naqsha tiri angḌa.i ka
Leave a Reply