• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dukh Tamasha to Nahin Hai Ki Dikhaen Baba

Dukh Tamasha to Nahin Hai Ki Dikhaen Baba

dukh tamasha to nahin hai ki dikha.en baaba

ro chuke aur na ab ham ko rula.en baaba

kaisi dahshat hai ki ḳhvahish se bhi Dar lagta hai

munjamid ho ga.i honTon pe dua.en baaba

maut hai narm-dili ke liye badnam un men

hain yahan aur bhi kuchh aisi bala.en baaba

daagh dikhla.en ham un ko to ye miT ja.enge kya

gham-gusaron se kaho yuun na sata.en baaba

ham-safiran-e-chaman yaad to karte honge

par qafas tak nahin atin vo sada.en baaba

patte shaḳhon se baraste rahe ashkon ki tarah

raat bhar chalti rahin tez hava.en baaba

aag jangal men bhaḌakti hai ‘ziya’ shahr men baat

kaise bhaḌke hue sho.alon ko bujha.en baaba

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

kaThin Haalat Mein Apne Iradon Ko Jawan Rakhna

poet

Hum Nahin Chahte Ki Daulat Ho

ali-sardar-jafri

Chashma-E-Bad-Mast Ko Phir Shewa-E-dil-dari de

aalok-shrivastav

Thik Hua Jo Bik Gae Sainik Mutthi Bhar dinaron Mein

poet

Bayan Ai Ham-Nashin Gham Ki Hikayat Aur Ho Jati

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet