kis tarah chubhte hue ḳhaar se ḳhushbu aa.e
phuul hon lafz to iz.har se ḳhushbu aa.e
nanhe ghunchon se khila rahta hai angan dil ka
yuun mahakti huun ki ghar-bar se ḳhushbu aa.e
gardish-e-vaqt ki tariki se Darna kaisa
saath ho vo to shab-e-tar se ḳhushbu aa.e
jazba-e-dil men jo sachcha.i ki dhaḌkan ubhre
ishq loban bane pyaar se ḳhushbu aa.e
bas vahi log mohabbat ke hain qabil ‘mina’
jin ke a.amal se kirdar ki ḳhushbu aa.e
Leave a Reply