ya to vo qurb tha ya duur hua jaata huun
ab to apne se bhi mastur hua jaata huun
sho.ala-e-ishq vo sho.ala hai ki allah allah
sadqe is naar ke main nuur hua jaata huun
alam-e-jabr men quvvat ka taḳhayyul tha bahut
ab vo quvvat hai ki majbur hua jaata huun
ishq ki raah men manzil koi khoi hi nahin
kya ḳhabar paas huun ya duur hua jaata huun
kis ko samjha.un tajalli-e-tabassum ka farogh
barq ye vo hai ki main tuur hua jaata huun
tera har gham hai tarab-ḳhez tire gham ki qasam
shiddat-e-dard se masrur hua jaata huun
kah do tayyar karen dar-o-rasan phir se ‘bashir’
alam-e-kaif main mansur hua jaata huun
Leave a Reply