ya sitam kar ya karam chahe so kar
chahte hain tujh ko ham chahe so kar
maar chahe chhoḌ mujh ko jiite ji
main na chhoḌunga qadam chahe so kar
bazm men mahrum mat rakh de mujhe
jam-e-mai ya jam-e-sam chahe so kar
kufr ya islam kuchh kar iḳhtiyar
ek hai dair-o-haram chahe so kar
maar kha.unga par aane ki yahan
main na kha.unga qasam chahe so kar
ab to main shikva karunga ho so ho
naak men aaya hai dam chahe so kar
ik ghazal to aur bhi ‘besabr’ tu
is zamin men kar raqam chahe so kar
Leave a Reply