raat chaupal aur alaav miyan
ab kahan gaanv ka subhav miyan
sher kahna to ḳhair mushkil hai
sher paḌhna hi siikh jaao miyan
dars-o-tadris jab ki mansab hai
kuchh paḌho aur kuchh paḌhao miyan
ye jo phaili to tum bhi jhulsoge
aag ka khel mat rachao miyan
ye safar dard ka hai raste men
kaisa rukna kahan paḌav miyan
Leave a Reply