vo zard chehra mo.attar nigah jaisa tha
hava ka ruup tha bolo to aah jaisa tha
aliil vaqt ki poshak tha buḳhar us ka
vo ek jism tha lekin karah jaisa tha
bhaTak raha tha andhere men dard ka dariya
vo ek raat ka jugnu tha raah jaisa tha
gali ke moḌ pe Thahra hua tha ik saaya
libas chup ka badan par nibah jaisa tha
chala to saa.e ke manind saath saath chala
ruka to mere liye mahr-o-mah jaisa tha
qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun
ḳhayal dil men jo aaya gunah jaisa tha
bahut si baton men majbur tha vo ham se bhi
takallufat men alam-panah jaisa tha
ḳhabar ke uḌte hi yunhi ki mar gaya ‘majid’
purane ghar ka saman jashn-gah jaisa tha
Leave a Reply