• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Lazzat-E-Ashna-E-Dard-E-Hijran Hote Jate Hain

Jo Lazzat-E-Ashna-E-Dard-E-Hijran Hote Jate Hain

jo lazzat-e-ashna-e-dard-e-hijran hote jaate hain

sar-e-ku-e-tamanna vo ghazal-ḳhvan hote jaate hain

safina Duub hi ja.ega ab bahr-e-talatum men

habab-asa harif-e-mauj-e-tufan hote jaate hain

vahi bante hain baa.is dosto betabi-e-dil ka

mohabbat men jo nazdik-e-rag-e-jan hote jaate hain

mata-e-dil jinhen saunpi thi main ne rah-e-ulfat men

ta.ajjub hai vahi gharat-gar-e-jan hote jaate hain

dabistan-e-mohabbat men ik aisa daur aata hai

ki auraq-e-kitab-e-dil pareshan hote jaate hain

asar bad-e-fana hone laga hai jazba-e-dil ka

vo mujh ko dafn kar ke ab pasheman hote jaate hain

junun men bhi ‘muzaffar’ hai hamen pas-e-adab har-dam

ba-qadr-e-zarf mahv-e-husn-e-janan hote jaate hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kis Sher Mein Sana-E-Rukh-E-Mah-Jabin Nahin

shahnaz-nabi

Tarikh Ke Murda-Khane Se

Aaine Ke Is Taraf Se Us Taraf Aate Hue

Sheikh Saadi

Story 11 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

KHwab Khulna Hai Jo Aankhon Pe Wo Kab Khulta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet