Yaqinan Hum Ko Ghar Achchhe Lage The

yaqīnan ham ko ghar achchhe lage the

makīñ pahle magar achchhe lage the

use ruḳhsat kiyā aur us se pahle

yahī dīvār-o-dar achchhe lage the

vo dariyā hijr kā thā tund dariyā

udāsī ke bhañvar achchhe lage the

hamāre haath meñ patthar kā aanā

daraḳhtoñ par samar achchhe lage the

sa.ūbat to safar meñ lāzmī thī

magar kuchh ham-safar achchhe lage the

vo chehre jin pe raushan thī sadāqat

lahū meñ tar-ba-tar achchhe lage the

Leave a Comment