vo umangen nahin ab vo dil-e-nashad nahin
vaqia khvab sa kuchh yaad hai kuchh yaad nahin
kaun se zarre pe duniya-e-gham abad nahin
dil-e-barbad hamara dil-e-barbad nahin
vo ho duniya ki lahad ya ki ho roz-e-mahshar
mubtala-e-gham-e-janan kahin azad nahin
tu jo sargarm-e-tamasha ho dam-e-mashq-e-sitam
kis ko phir shauq-e-shahadat sitam-ijad nahin
paas hai zabt-e-mohabbat ka sitamgar varna
ik nafas bhi mira begana-e-fariyad nahin
ab to har samt nazar aate hain jalve jalve
be-khudi men koi parda dil-e-nashad nahin
kavish-e-dam-o-qafas mere liye thi goya
varna gulshan hai vahi aaj bhi sayyad nahin
tabish-e-husn se ik be-khudi chhai pahle
baad us ke hua phir kya ye mujhe yaad nahin
mar ke ‘afqar’ yahan milti hai hayat-e-javed
astan yaar ka hai jannat-e-shaddad nahin
Leave a Reply