vo tujh ko toḌ ke misl-e-habab kar dega
tira ghurur tujhe aab aab kar dega
Thahar sakegi kahan shabnami guhar ki chamak
bas ik nazar men fana aftab kar dega
kabhi to phailegi bagh-e-hayat men ḳhushbu
gulab khil ke faza ko gulab kar dega
ruḳh-e-fareb pe Thahregi kya naqab-e-fareb
tira fareb tujhe be-naqab kar dega
na raas aa.egi ta.abir-e-ḳhvab-e-mustaqbil
ye vaqt ḳhvab ke manzar ko ḳhvab kar dega
dikha ke chehra-e-mazi ke ḳhadd-o-ḳhal tujhe
saval-e-daur-e-ravan la-javab kar dega
jahan ko degi jo ‘kausar’ payam-e-amn-o-aman
adib-e-vaqt raqam vo kitab kar dega
Leave a Reply