aaj ki raat muradon ki barat aai hai
aaj ki raat nahin shikve shikayat ke liye
aaj har lamha har ik pal hai mohabbat ke liye
reshmi sej hai mahki hui tanhai hai
aaj ki raat muradon ki barat aai hai
har gunah aaj muqaddas hai farishton ki tarah
kanpte hathon ko mil jaane do rishton ki tarah
aaj milne men na uljhan hai na rusvai hai
aaj ki raat muradon ki barat aai hai
apni zulfen mire shane pe bikhar jaane do
is hasin raat ko kuchh aur nikhar jaane do
subh ne aaj na aane ki qasam khaai hai
aaj ki raat muradon ki barat aai hai
Leave a Reply