bina-e-arz-o-falak harf-e-ibtida huun main
bikhar gaya to samajh lo ki intiha huun main
yunhi sulagte raho aag ki qaba huun main
tumhen bachaunga kya khud sulag raha huun main
uthae phirta huun be-shakhsiyat badan apna
aur apne gum-shuda chehre ko dhundhta huun main
ye kohar kohar se chehre dhuan dhuan avaz
tumhare shahr men shayad abhi naya huun main
lahu lahu si khandar ki tamam inten hain
kahan se niklun ki ik ah-e-na-rasa huun main
nai hai mashq na jaane kahan pe gir jaun
nafas ki dor pe kartab dikha raha huun main
‘kamal’ jhuut hai yaaro faqat fareb hai vo
‘kamal’ sach ko abhi tak talashta huun main
Leave a Reply