• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Baat Ki Nahin Hai Koi Intiha Na Puchh

Is Baat Ki Nahin Hai Koi Intiha Na Puchh

is baat ki nahin hai koi intiha na puchh

ai mudda.a-e-ḳhalq mira mudda.a na puchh

kya kah ke phuul banti hain kaliyan gulab ki

ye raaz mujh se bulbul-e-shirin-nava na puchh

jitne gada-navaz the kab ke guzar chuke

ab kyuun bichha.e baiThe hain ham boriya na puchh

pesh-e-nazar hai past-o-buland-e-rah-e-junun

ham be-ḳhudon se qissa-e-arz-o-sama na puchh

sumbul se vasta na chaman se munasibat

is zulf-e-mushk-bar ka haal ai saba na puchh

sad mahfil-e-nashat hai ik sher-e-dil-nashin

is barbat-e-suḳhan men hai kis ki sada na puchh

kar rahm mere jeb o gareban pe ham-nafas

chalti hai ku-e-yar men kyunkar hava na puchh

rahta nahin hai dahr men jab koi aasra

us vaqt aadmi pe guzarti hai kya na puchh

har saans men hai chashma-e-haivan-o-salsabil

phir bhi main tishna-kam huun ye majra na puchh

banda tire vajud ka munkir nahin magar

duniya ne kya diye hain sabaq ai ḳhuda na puchh

kyuun ‘josh’ raz-e-dost ki karta hai justuju

kah do koi ki shaah ka haal ai gada na puchh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ilm Kis Ko Tha Ki Tarsil-E-Hawa Ruk Jaegi

Na-Mehrban Hai Tu to Koi Mehrban Bhi Hai

Intiha-E-Gham Mein Mujhko Muskurana Aa Gaya

Gham-KHwar Hain Jo Un Ka Chalan Dekh Raha Hun

akhtar-shirani

Ai Ishq Kahin Le Chal

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet