lazim hai buland aah ki rayat na kare tu
tasḳhir agar dil ki vilayat na kare to
ankhon ka bahe jaana saha girye par afsos
ab bhi agar us dil men sarayat na kare tu
main moḌun na munh us ki jafa se pa karun kya
is vaqt vafa phir jo kifayat na kare tu
jam.iyyat-e-aghyar se Darte nahin ashiq
par ḳhauf ye hai un ki himayat na kare tu
ai qasid agar naama mira chaak kare yaar
behtar hai ki mujh se bhi rivayat na kare tu
phir kah tu chimaT kar na len ham bosa so kyunkar
jab aap se gaali bhi inayat na kare tu
ai mir-‘raza’ tujh ko abhi us se mila den
gar rashk ki phir ham se shikayat na kare tu
Leave a Reply