vo dher kanch ka tha
kisi ne raakh samajh kar jise tatola tha
ajiib rang the raqsan nigah ke aage
hatheli risne lagi to guman sa guzra
kahin ye khuun ke chhinton ki surkhiyan to nahin
magar vo dard kahan hai jo sukh nigalta hai
jo jism-o-jan men utra hai ab thakan ban kar
kahin se ah-o-buka ki sadaen aati hain
ye niim andhera bada karbnak lagta hai
bujhe hue vo sharare hain ya koi aahu
palat ke dekh to le
raakh ranj kanch
kahin chubh na jaaen ankhon men
ye vaqt jis ke palatne ki aarzu le kar
hava ke dosh pe aahen udaae jaata hai
Leave a Reply