vo jin ko ḳhuub tha apne hunar ka andaza
hai apni maat ki un ko ḳhabar ka andaza
na ho fariq koi samne to ho kaise
kisi fariq ko apne hunar ka andaza
unhen hai zo.am ki ham ko asiir kar denge
magar ghalat hai kisi be-ḳhabar ka andaza
hamen Dara.ega kaise safar samundar ka
ki ham to kar bhi chuke hain bhanvar ka andaza
vo jin ko ḳhauf hai manzil se duur hone ka
sitara dekh ke kar len safar ka andaza
ayaan hai un ka nasab un ki guftugu se hi
hamen kahan tha ghazal un ke shar ka andaza
Leave a Reply